Tuesday, February 19, 2008

meri khwahish


meri khwahish thi ki
kabhi laaon chand ko
apne ghar ke aangan main
kabhi barfili chotiyon ki chhanw main
tum sang geet koi gungunau ,,,,,,,
hathon main haath thaam
kabhi
kohre ki dhundh main
nange paon
os ki boondon se
bhari ghaas
par chalti chali jaaun ,,,,,,,,,,,,,,,,,
kabhi yoon bhi sochti hoon ki
registan ki jalti tapish main
dopahar ka intezar karoon
aur alingbadh si soi rahoon
apne maan ke kone main ,,,,,,,,,,,,
,ya kabhi barish ki bauchharon main
kagaz ki naw ko banate hue
tumhe nihara karoon ,,,,,,,
umr yoon to nikal hi jayegi
par kisi aakhiri paraw par
jhurriyon bhare haathon main
mehndi racha tumhare hatho ko
ek baar fir tham kar

antim safar pe nikal jaoon
yahi khwahish hai meri

tum


zindgi is kadar naraz hai to kya hua
zara sa safar lamba hi to hua
yoon to kahan thi kahi khushi ki roshni
par kuchh der ujala to hua
pal yoon hi gujar gaye ,,,,,
safar ka saath kahi chhoot gaya
to kya hua ,,,,,,
ajnabi parchhaai ,unkahe shabd
sangi se saath to nahin hote ,,
par ek ajnabi ne dosti ka daman thama
to kuchh savera sa hua ,,,,
dopahar ka saaath tha ,,,
na kisi shaam ka intezar tha ,,,
achanak ek pal yoon andhera hua
to kyon hua ,,,,,,,,,,,,,,,,
par shaam savere ,,,,,,
swapan se saraansh ho tum
geet ka adhyay ho tum
sur ke rang ho tum ,,,,,,,
yoon ho tum to kya hua
_______________________

mere mun

mere mun ye samjha tu mujhe
kyon hairan pareshan sa dikhta hai
khwahishen to na thi jyada
fir bhi kyon uljha sa rahta hai
mrityu se pare bhi kya tera aadhar hai
is begani duniya main kya tu
ab bhi mere saath hai ,,,,,,,,,

meri kalpanao ki seemarekha to hai
meri unchi udano main kampan paida kar

hur waqt satata kyoun hai ,,,,,,,,,,,,,,,,

janta to tu bhi hai ki
main urh nahi paaungi bin tere
fir meri tarah apne pankhon ko
nahi lagata kyon hai