Tuesday, October 14, 2008

sapne

tum yoon hi kahin
kisi gulabi aasmaan tale
apne sapne sajate ho ,,,
maine apne spno ke mahal jo tumhe diye the
unhe bhi kya tum apne sapne main
bulate ho ,,,,,,,,,,ab bhi ,,,,,
sochti hoon ab tak yahi
ki kyon aisa hota hai
preet ka dhaga itna
nasamajh hota hai
hakikat main to nahi jorta
sapne main jagata hai
milne bichhurne ki har rasm se juda hota hai
sapne mainhi koi aks khud ko pukarta hai
band ankhon main tasvir ukerta hai
usi se milta juda hota hai
anumanit se jivan pe khud hi hansta aur rota hai

Friday, September 5, 2008

My Experience in United World School ,Lucknow

i had no plans to join any school that too any primary school due to certain circumstance i joined the school which is as wonderful for me as i wanted .The school's management whom I always give regard a lot due to certain qualities within they have .on Teacher's Day i wish them Happy Teacher's day

aparna

Sunday, August 17, 2008

maa



maan aap aaj ho
mujhe kal ki fikra nahi
aaj bhi yaad ati hain akele main
mujhe ,,
wahi aapki pyari si daant
uske baad milta tha mujhe
dher sa pyar dular
mere har kaam ko har mushkil ko
kitna aasan banati thi aap
har pareshani main shamil hoti thi aap
kitni assani se mere sare aansuo
ko aap apna bana leti ho
mere dukho ka har katra
mujhse hi chhupakar kar
kahi door phaik deti ho aap
us waqt shayad nahi samajhti thi main
par aaj jab main khud maan hoon ek chhoti nanhi pari ki ,,,
to aapki lagai bandishon ko samajh pati hoon aaj ,,,,
aapne hi to mujhe dhoop
main chalna sikhaya
har dard ko sahna sikhaya ,,,
har ek ki khushi ko apna
hona sikhaya ,,,,
tabhi to zindgi ki patwar
aaj bhi thame
bus apke vishwas ke saath
poorn samarpan se
khush hoon apne sansar main aaj


Tuesday, August 5, 2008

विश्वास की डगर


हर पगडण्डी पे ठहर कर
मैं
ने जब पीछे मुढ़ कर देखा
तो
धुंधले पर चुके हर रस्ते पे
सिर्फ़ एक डगर ही तो दिखती थी ,,,,,,

आज
तक तुम बिन,,,
तुम्हारे साथ ही जीवन की राह
ख़ुद ही तो तय की
एक
आस की डोर के साथ
जो तुम तक अद्रश्य भाव से जाती थी ,,
कुछ यादें और बातों के बीच ,,,
वो पल याद है जब अपनी कमियों कों
तुम संग दो चार पल बैठ बांटती थी ,,,
उसी
नरम जुबान से तुम किस तरह
एक आवरण मैं उन्हें लपेट
यूँ हो तलहटी मैं डाल देते थे ,,,,,,,,,,,,,,,

और
नासमझ सी मैं ख़ुद पे तुम्हारा विश्वास
पाने की चेष्टा मैं मगन हो एक डगर ख़ुद ही बनाती रही ,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,
,
और इसी विश्वास की डगर के सहारे मैं आज दुनिया के सामने ,,,
ख़ुद
को काबिल सा पाती हूँ ,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,
आज
भी येही आस और विश्वास की डगर
मुझे
साफ़ स्वछन्द सी दिखाई देती है
जो
आगे मुझे मालूम है ,,,,,,,,,,,,
मेरे सतरंगी इन्द्रधनुषी सपनो मैं मुझे ले जायेगी ,,,,,,,,,,,,,,,
और समय के साथ कभी मिटने वाली
सिर्फ़ ये मेरे विश्वास की डगर तुम तक जाती है

Wednesday, July 9, 2008

दादी

दादी



माइक्रोवेव मैं कुछ बनाने ही जा रही थी की पुरानी यादे ताज़ा हो गई ,,,,कमरे लेटी दादी की आवाज़ से घर दहल जाता था ,,,,अरे ,,,खीर बना रही है चीनी ज्यादा डालना चम्मच की आवाज़ न जाने कैसे उनके कानो मैं पहुँचती थी पता नही ,,,,मैं क्या बना रही हूँ क्या कर रही हूँ सिलसिलेवार उसका आँखों देखा हाल जैसे उनसे ही सुनती थी ,,,,,,,अगर थक गई है टू मैं आऊँ रहने दो दादी आराम करो मैं बना लूंगी ,,,,,,,,,हाँ तो कह रही थी खीर मंझले को मीठी ही भाती है,,,ठीक है दादी ,,,दाल मैं नमक भी बता दो लगे हाथ फीर बोलेंगी बडकू को कम नमक पसंद है ,,कीतना खीज्ती थी ,,,कभी लड़ती भी थी ,,,,,प्यार से बिठा कर दादी समझाती अरी समझाती हूँ कल ससुराल चली जायेगी वहाँ फीर च्कर्र्घीन्नी की तरह नाचना परेगा ,,,,,,सोचते सोचते आँखों से आंसू आ गए दादी तो चली गई अपने गंतव्य पे मुझे यहाँ इस मशीनी ज़िंदगी से लड़ने ,,सुबह से उठती हूँ घर मैं कोई बांटें करने सुन ने वाला कोई नही ,,,,घर मैं चारो तरफ़ लोंगो की आवाजों के बजाय मशीनों की आवाजों को सुनती हूँ ,,,,बच्चे आजकल कहाँ सुनते हैं कल ही तो छोटी को समझाया तो कह रही थी माँ मैं बड़ी हो गई हूँ ,,,,,,,,,,, एक समय था माँ चूल्हे की रोटी बना कर थक जाती मेहमानों का ततान लगा रहता था स्टोव आया तो खुश हुई अब म को आराम मीलेगा लेकिन मेह्माम तो जैसे सचमुच भगवान् का अवतार ,,,,,,,,,,,,,,,,,आज सोचती हूँ की आज सब कुछ है यूँ चटकी दबी बीना मेहनत के खाना तैयार पर कहाँ हैं वो बैठके वो मेहमान ,,,मैं भी अकेली इन्ही से रोज़ झुझ्ती हूँ और दादी की याद मुझे अभी भी सुकून देती है

Monday, April 28, 2008

bandhan


एक छोटा सा बन्धन ही त्तो
है
jor deta hai har dhaage ko ,,,

har ummid ki us kari ko ,,

har us sunhare rishte jo samay ki dhundh se

bhi nahi dhundhala jate hain

chiriya ke ghonsle main chhupe un nanhe

bachchon jo din dhale us maan ka

intezar kart enahi thakte,,,,,,

mera mun bhi bandha kahi

kisi dor se jo kabhi khud main hi na samajh payi

par samay ki maang kuchh aur hi hoti hai

kyon har baar bhool jati hoon main

ab sirf rishte bandhan ke satya pe jivit nahi rahte

kisko is se kya milega bus yahi soch si rah jati hai

kaun kahan se kis moti ko dhhoondh sakta hai

bus yahi hor si rahti hai

,,,,,,,,samvetit sa mun sirf yahi sawal karta hai

kyon ???????







Wednesday, February 27, 2008

ankaha akarshan


chauke main chai banati hui main
.na jane tum kahan se aa gaye
fir unhi khamosh nigaho ke falak pe
kai sitare yuunhi chhaa gaye
unko ye aihsas tha ya nahi
badti hui dil ki dharkano ne hi
to pahchana wo
unkaha pyar ,,,,,,,,,,,,,,,,,
usi akarsnahn main bandhi main
chai ki pyaliyon main
kampan bhare hathon se
chai dalne main mashgul
khayal kahan ki ungilya jal rahi hain
bina sansi ke bhagona pakre
aaj bhi un unglyo ko dekhti hoon
chai banate hue,,,,,,,,
ajib hai na ye safar zindgi ka
kabhi kabhi hum bade bade palon se
khushi ka ek pal nahi dhoondh pate
to kabhi saja leti hoon apni
shamon ko tum sang bitaye
chai ki pyaliyon se bhare
chauke ki dehri se khare
chupchap dabe paon
shararat se bhari ankhe ya
unsuni ahat kano main guunj jati hai
aur kuchh nishan wahi pare us ankahe
rishte ki dastan
to kah hi gaye

Friday, February 22, 2008

saathi


saathi



jatheband dopahar ke palo se
samundar ki gahri ghani lahro se
moti ban gayi boond se
tumhe dhhondh ke layi hoon saathi
janti thi janti hoon
na tum sangi se saath ho
na suraj ki kiran ho
na chhand ka ujala ho
par jharne ka wo shrot ho
jis se maine khoja hai saathi
un jiddi ankhon ki parchhai se
tumhare such se ,,,,
tumhare vishwas se
darti thi main bhi kabhi kabhi saathi ,,,,,
kaun si nadi hain hum do kinaro ke beech
jo unkahe palon ki tarah
baar bar rah main aa jati hai saathi
bandhan main kyon jor liya hai
tumne mujhko saathi
meri vedna ka swar kyon sunte ho
bina kisi rishte kyon bandhan jorte ho
mere sapno ki duniya main
jaise bas gaye ho saathi
mere man mohna ho ,,,
kaise bhool jaao tumhe saathi




wo ab bhi kahi hai


roz unidi ankho main khwab tumhare saja kar unhe le tumhare dar par dastak deti hoon ,,, ,tumse hi poochhti hoon mere khwab ka hissa kyon ban te ho kyon nahi aa jate safed gulabi pankho wale aadhi raat chandni ki roshni se chupke se ,,,,,,,kyon nahi ate ho tumhari ankhe tumhari baten kitna satati hain sari raat ,,,, unhi khwabon main ,,,,,,,,, tumhari ek chhuan niind se jab jagati hai main aplak intezar main kyon doob jati hoon ye sapne bhi na ,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,, wo raat kaisi hogi bataoon ,,,,,,,,,,, ,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,, ,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,, ,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,, ,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,, ek baar fir chamak hogi ankhon main mere surkh gulon si hansi hogi hontho pe ,,,,,,,, kano main karnphool pahne ,,, haathon main kai churiyan lal pili ya hari paaon main payalo ki lari gale main motiyon ki dali ,,,,,,,, mathe shabd hiin bindiya ,,,,,,, laal pili hari chhunni gote se jari hhawa main lahrate wohi julf galon ko baar chhuti tumhara intezar karti rahegi ,,,, ,,,,,,,,,,,,,,,,,,,wo raat shayad ,,,,,, jiska intezar to hai hi kabhi ye khwab apni uninidi ankho se zarur saja lati hoon har roz tumhare liye man vistarit kab hota hai jab bandhan itna pyara hota hai sukun ka saya hota hai ,, khud hi bhool jati hoon jo mila wo kuchh jyada tha ,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,, khwahishen bhi to aakash si hain par har kisi ko aassman ki unchai kaha milti hai bus yehi baat liye fir apne ghar ke kone main khuli ankho se sapne ko sakar karti hoon ki wo aaj bhi kahin hai

Thursday, February 21, 2008

HAR ROZ







roz unidi ankhon se ek
khwab le nikalti hoon
kya khoti hoon har roz
kya pati hoon har roz
man hi man tumse sawalo
ki jhari lagati hoon har roz
isi silsile ko agae
badate chalti hoon
gati hoon gun gunati hoon
kya antarman ki dasha
kabhi vistarit hoti hai
kuchh dweep pe chhipi yadon
ko jagati hoon har roz
sham si subah lati hoon har roz
thakan se choor si ho
dhal jati hoon har roz
arth jivan ka shoonya
sa banati hoon har roz
naye sapno aur parikalpanao se
khud ko bachati hoon har roz
kali sarko ke kinare pare
kankaron main apni
pahchan dhoondhti hoon har roz
sangya shoonya khud ko

sarhad ke dost


ek roz sarhad paar se
mera dost dosti ka paigam laya
na jane kitne khilone the
jholi main uski ,

meri chaar sal ki bachchi ke liye
mere ghar main khushiyon ki lahar si aa gayeee ,,,,
ye teri gudiya ye meri ,,,,
awaz main khanak si aa gayee ,,
meri maan ke budhi ho chuki
ankhon ne na jane kitni
dua di us dost se dost ko ,,
use barso baad mil kar ,,,,
mujhe bachpan ki shararat yaad a gyee ,,
wahi kahi usi imli ke per ki
chhaon tale bitaye kuchh pal yaad
agaye ,,aur unhi yadon main kho ,,
na jane kya kya sapne saja gayee
fir achanak usi dost ko
sarhad paar se is ore dekh
kuchh himmat aa gayee ,,,,,,,,,,aur wo
wo hi dost hume thori
chharink khushiyan si de chala gaya f ir
usi sarhad ki ore ,,,,
meri gudiya uski laayee gudiya ke
saath yoon hi so gayee ,,,,
fir na uski subah hui
hua to sirf ek dhamaka ,,,,sbhi ko gahri neend sula
wo dost he chala gaya


parivartan






kuchh baras hi bite honge
mere mun ke aangan main ,
kuchh sundar sapne rahte the .
bhigi palkon ki koro par
jaldhaar,khushi ki bahti thi

maan jharokhe se jhankta tha
bus dhire se kuchh kahta tha
aur fir baichain vivash
maan ka pankshi,
us aagan ke kone main
such ke daane chugta tha ;
har jagah rishton ke
baag bagiche lagte the
usme apno ki khushbu thi
ya kuchh apne se ho lagte the
chachi tai ki baton main
pooja ki ghanti bajti thi
us gili sondhi mitti main
paon nai fir dhaste the
aaj samay kuchh aisa hai
na hi wo sondhe rishte hain
such mashino main dhhal gaya hai
aangan kamro main badal gaya hai
un sooni diwaron par
kuchh bikhri tasvire hain
maan fir dhime se kahta hai
shayad ye parivartan hai

ek pal


kitna kuchh badal deta hai ek khamosh pal ,,,,,,,,,,,,
,jab sochti ki wo mere paas hai
to utna hi door tha wo pal ,,,,,,,,
aaj jab wo mujhse door hai
to kitna paas lagta hai wo pal
manviya pira ka ant kahan hai
baichain rahta hai har pal ,,,,,,,,,
dar ba dar badlo ki chhawn main
lukka chhuppi khelta hai ye pal ,,,,,,,,,,,
sageet ki thaap ho ya lahro ki awaz ho
hakikat ki baat ho har pal
chhaya rahta hai mere maan pe sirf wo hi ek pal ,,,,,,,,,,
kaise ginaoon un ek ek pal ki laron ko
chalo bachpan se shuru karti hoon
kahan kahan se chura kar rakhe hain
maine wo ek pal ,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,
maan ke haanth ki khushbu bani thi
mera ek pal ,,,,,,,,,,,,,
to kabhi khilte hue phoolon ki
muskan ban jati hai ek pal,,,,,
badalte waqt ke saath us pal ka aihsaas
tabdil ho hi jata hai ,,,,,,,,,,,,,,,,,,,
aaj jab sirf ek pal yaad karne ki baat ati hai ,,,,
tumse mili nazare yaad ati hain ,,,,,
saanjh tale jhurmuth ke pichhe
haatho main haath tham kuchh
baten kahti yaad ati hain ,,,,,,,,,
har bandhan seemaon se door tumahre saath
guzara ek ek pal ,,,,,,,,,na sirf pal ka hisab chhor gaya
par sari zindgi ka ek anjana
ankaha ,,,,bandhan jor gaya
nahi malum ki tum bhi intezae karte hoge
usi pal ko dohrane ka ya nahi ,,,,,,
par dhime se hi mujhse kuchh tumhare
dil ki baten kah jata hai har pal ,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,
maine hi to ret ke us tile par dabaya tha wo pal

Tuesday, February 19, 2008

meri khwahish


meri khwahish thi ki
kabhi laaon chand ko
apne ghar ke aangan main
kabhi barfili chotiyon ki chhanw main
tum sang geet koi gungunau ,,,,,,,
hathon main haath thaam
kabhi
kohre ki dhundh main
nange paon
os ki boondon se
bhari ghaas
par chalti chali jaaun ,,,,,,,,,,,,,,,,,
kabhi yoon bhi sochti hoon ki
registan ki jalti tapish main
dopahar ka intezar karoon
aur alingbadh si soi rahoon
apne maan ke kone main ,,,,,,,,,,,,
,ya kabhi barish ki bauchharon main
kagaz ki naw ko banate hue
tumhe nihara karoon ,,,,,,,
umr yoon to nikal hi jayegi
par kisi aakhiri paraw par
jhurriyon bhare haathon main
mehndi racha tumhare hatho ko
ek baar fir tham kar

antim safar pe nikal jaoon
yahi khwahish hai meri

tum


zindgi is kadar naraz hai to kya hua
zara sa safar lamba hi to hua
yoon to kahan thi kahi khushi ki roshni
par kuchh der ujala to hua
pal yoon hi gujar gaye ,,,,,
safar ka saath kahi chhoot gaya
to kya hua ,,,,,,
ajnabi parchhaai ,unkahe shabd
sangi se saath to nahin hote ,,
par ek ajnabi ne dosti ka daman thama
to kuchh savera sa hua ,,,,
dopahar ka saaath tha ,,,
na kisi shaam ka intezar tha ,,,
achanak ek pal yoon andhera hua
to kyon hua ,,,,,,,,,,,,,,,,
par shaam savere ,,,,,,
swapan se saraansh ho tum
geet ka adhyay ho tum
sur ke rang ho tum ,,,,,,,
yoon ho tum to kya hua
_______________________

mere mun

mere mun ye samjha tu mujhe
kyon hairan pareshan sa dikhta hai
khwahishen to na thi jyada
fir bhi kyon uljha sa rahta hai
mrityu se pare bhi kya tera aadhar hai
is begani duniya main kya tu
ab bhi mere saath hai ,,,,,,,,,

meri kalpanao ki seemarekha to hai
meri unchi udano main kampan paida kar

hur waqt satata kyoun hai ,,,,,,,,,,,,,,,,

janta to tu bhi hai ki
main urh nahi paaungi bin tere
fir meri tarah apne pankhon ko
nahi lagata kyon hai