Wednesday, February 27, 2008

ankaha akarshan


chauke main chai banati hui main
.na jane tum kahan se aa gaye
fir unhi khamosh nigaho ke falak pe
kai sitare yuunhi chhaa gaye
unko ye aihsas tha ya nahi
badti hui dil ki dharkano ne hi
to pahchana wo
unkaha pyar ,,,,,,,,,,,,,,,,,
usi akarsnahn main bandhi main
chai ki pyaliyon main
kampan bhare hathon se
chai dalne main mashgul
khayal kahan ki ungilya jal rahi hain
bina sansi ke bhagona pakre
aaj bhi un unglyo ko dekhti hoon
chai banate hue,,,,,,,,
ajib hai na ye safar zindgi ka
kabhi kabhi hum bade bade palon se
khushi ka ek pal nahi dhoondh pate
to kabhi saja leti hoon apni
shamon ko tum sang bitaye
chai ki pyaliyon se bhare
chauke ki dehri se khare
chupchap dabe paon
shararat se bhari ankhe ya
unsuni ahat kano main guunj jati hai
aur kuchh nishan wahi pare us ankahe
rishte ki dastan
to kah hi gaye

No comments: