Prarabdh adi he ya ant ...
Adhyatm hai ya sangyan ...
Safalta he ya asafalta...
Adhyatm hai ya sangyan ...
Safalta he ya asafalta...
Ya fir hai ye karma ka sidhdhant....
Srishti se pare nahi hai....
Srishti se pare nahi hai....
Is janm ka satya hai ya ,
Punarjam ka undekha Vigyan..
Saubhagya leke aya ya durbhagya....
Ya sirf akshron se bana ek jaal hai prarabdh...
Bhoot vartman ya bhavishya he ....
Vikal Mann dhoodhne nikal para,
Ek adhyatmic vedant.....
Jo brahmand ki sanrachna ka vishay he...
Jo brahmand ki sanrachna ka vishay he...
Ek unsuljhe sawal ka zawab hai shayad ki,
Jo mil gaya WO bhi prarabdh
Jo kho gaya WO bhi prarabdh.....
Ssbal Ne nirbal ko sahara diya ....
WO hai kya prarabdh ....
Ya youn kaho kabhi nirbal ki duaon
Ka basera hai kisi Ke liye ye prarabdh....
antarman ki poonji hai ye prarabdh....
Ek vairagi ka vairagy he to ,
Mohi ka moh he ye prarabdh......
Mrityu Sa shoony bhi hai ...
To navsrijan ka shringar bhi ...
Sadhak ki sadhna he ..kya ?
Sadhak ki sadhna he ..kya ?
Na vigyan he na Kalpna ....
Saar hai lagta atma se param atma
Ke raste ki doori ka bodh hai.......

No comments:
Post a Comment